Tabeeb Ban Kar Jo Aa Gaye Ho
Main Neem-Jaan Tha To Tum Kahan Thay
Tumhari Ulfat Ki Be-Hissi Pe
Main Noha-Khwaan Tha To Tum Kahan Thay
Har Aik Gul Tha Khizaan Raseeda
K Aag Har Su Lagi Hui Thi
Bahaar Aayi To Aa Gaye Ho
Yahan Dhuwaan Tha To Tum Kahan Thay
Lahu Se Main Ne Diye Jalaye
To Phir Kahin Se Seher Bhi Aayi
Andhaira Jab Tak Taveel Raaton Ka
Hukmaran Tha, To Tum Kahan Thay
Shaoor-e-Guftar Aa Gaya Hai,
Na mere Lehje Mein Zeher Gholo
Mujhe Ab Apni Zubaan Mili Hai
Main Be-Zuban Tha To Tum Kahan Thay